मुहब्बत नासमझ होती है, समझाना ज़रूरी है
जो दिल में है उसे आँखों से कहलाना ज़रूरी है
love is novice its counsel is necessitated
what is in the heart should certainly be told by the eyes
उसूलों पे जहाँ आंच आये तो टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है
when principles are under threat then a combat is necessitated
when alive, then its imperative to look alive
नई उम्रों के खुद-मुख्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
who can advise the self-willed of the new generation
that where evasion is required and where it is necessary to go
बहुत बेबाक आँखों में ताल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
very defiant eyes cannot hold intimacy for long
to withhold the tenderness of love, its necessary to be shy
सलीका ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है खुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
probably there is no way to feel it
if it says it is the god then it should reveal itself
मेरे होटों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
की इसके बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
put your thirst on my lips and then think
that after this is there anything else to be achieved
वसीम बरेलवी
Muhabbat na-samajh hoti hai , samjhaana zaroori hai
jo dil mein hai usse aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon pe jahan aanch aaye to takraana zaroori hai
jo zinda ho to phir zindaa nazar aana zaroori hai
nai umr ke khud-mukhaatrion ko kaun samjhaaye
kahaan se bach ke chalnaa hai kahaan jaana zaroori hai
bahut bebaak aankhon mein taaluk tik nahin paata
muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeka he nahin shaayad usse mahsoos karne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai
mere hoothon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki iske baad bhi duniya mein phir kuch paana zaroori hai
Waseem Barelavi
Adding my own Matlaa to this ghazal
ज़िंदा रहने के लिए घावों का भर जाना ज़रूरी है
रिश्तों में दरारें हों तो भी निभाना ज़रूरी है
to be alive its important for the wounds to be healed
if relations are strained still its imperative to maintain
zindaa rahne ke liye ghaoon ka bhar jaana zaroori hai
riston mein daraarin hon tou bhee nibhaana zaroori hai