Search This Blog

Sunday 8 April 2012

Na jaane kis gali mein zindagi ke shaam ho jaaye..

कभी तो आसमाँ से चांद उतरे जाम हो जाये
तुम्हारे नाम की इक ख़ूबसूरत शाम हो जाये

हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाये
चराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाये

अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाये

समंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दो हमको
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाये

मैं ख़ुद भी एहतियातन उस गली से कम गुज़रता हूँ
कोई मासूम क्यों मेरे लिये बदनाम हो जाये

मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाये

उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
जाने किस गली में ज़िन्दगी की शाम हो जाये
'बशीर बद्र'

kabhi to aasman se chand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ik khoobsurat shaam ho jaaye

hamara dil savere ka sunhara jaam ho jaaye
chargon kee tarah aankhein jale jab shaam ho jaaye

ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabbat ke haveli jis tarh neelam ho jaaye

samandar ke safar mein iss tarah aawaz do humko
hawayein tez ho aur kashtiyon mein shaam ho jaaye

main khud bhee aihtiyaatan us gali se kam guzarata hun
koi masoom kyun mere liye badnaam ho jaaye

mujhe maloom ai us ka thikaana phir kahan hoga
parinda aasmaan chunne mein jab naakam ho jaaye

ujaale apni yaadon ke hamare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye

Bashir Badr